Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji

Shahryar

nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji

Shahryar

MORE BYShahryar

    nisbat rahe tum se sadā hazrat nizāmuddīn-jī

    māñgūñ maiñ kyā is ke sivā hazrat nizāmuddīn-jī

    āñkhoñ pe yuuñ chhā.e ho tum har nazar aa.e ho tum

    kaisā junūñ mujh ko huā hazrat nizāmuddīn-jī

    hāthoñ se tum ne jo kiyā raushan vafā ik diyā

    āñdhī zad meñ vo jalā hazrat nizāmuddīn-jī

    lete the allāh naam jo japte the dil meñ raam jo

    tum ne kiyā sab bhalā hazrat nizāmuddīn-jī

    'ḳhusrav' āñkhoñ se kabhī dekhe agar tum ko koī

    ahvāl hogā us kyā hazrat nizāmuddīn-jī

    nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji

    mangun main kya is ke siwa hazrat nizamuddin-ji

    aankhon pe yun chhae ho tum har ja nazar aae ho tum

    kaisa junun mujh ko hua hazrat nizamuddin-ji

    hathon se tum ne jo kiya raushan wafa ka ek diya

    aandhi ki zad mein wo jala hazrat nizamuddin-ji

    lete the allah nam jo japte the dil mein ram jo

    tum ne kiya sab ka bhala hazrat nizamuddin-ji

    'KHusraw' ki aankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi

    ahwal hoga us ka kya hazrat nizamuddin-ji

    Source :
    • Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 605)
    • Author : shaharyar
    • Publication : educational book house (2013)
    • Edition : 2013

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now