ban sanwar ke wo jab bhi mahfilon mein aate hain
ban sañvar ke vo jab bhī mahfiloñ meñ aate haiñ
har dhaḌakte siine meñ khalbalī machāte haiñ
har taraf añdhere meñ nuur sā bikhartā hai
vo hasīn chehre se zulf jab haTāte haiñ
hijr meñ taḌapne kā lutf hī nirālā hai
raat bhar taḌap kar hī ham sukūn paate haiñ
un kī mast āñkhoñ meñ hai sharāb kī mastī
jo bhī dekh lete haiñ ḳhud ko bhuul jaate haiñ
is liye har ik dil par apnī hukmrānī hai
sab ke kaam aate haiñ aur bhuul jaate haiñ
apnā ek ik misra' hai charāġh kī sūrat
jab ġhazal sunāte haiñ raushnī luTāte haiñ
ham 'jigar' ke zaḳhmoñ kī gintiyāñ nahīñ karte
jitnī choT lagtī hai utnā muskurāte haiñ
ban sanwar ke wo jab bhi mahfilon mein aate hain
har dhaDakte sine mein khalbali machate hain
har taraf andhere mein nur sa bikharta hai
wo hasin chehre se zulf jab haTate hain
hijr mein taDapne ka lutf hi nirala hai
raat bhar taDap kar hi hum sukun pate hain
un ki mast aankhon mein hai sharab ki masti
jo bhi dekh lete hain KHud ko bhul jate hain
is liye har ek dil par apni hukmrani hai
sab ke kaam aate hain aur bhul jate hain
apna ek ek misra' hai charagh ki surat
jab ghazal sunate hain raushni luTate hain
hum 'jigar' ke zaKHmon ki gintiyan nahin karte
jitni choT lagti hai utna muskuraate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.