Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pata kaise chale duniya ko qasr-e-dil ke jalne ka

Iqbal Sajid

pata kaise chale duniya ko qasr-e-dil ke jalne ka

Iqbal Sajid

pata kaise chale duniyā ko qasr-e-dil ke jalne

dhueñ ko rāsta miltā nahīñ bāhar nikalne

batā phūloñ masnad se utar ke tujh pe kyā guzrī

mirā kyā maiñ to aadī ho gayā kāñToñ pe chalne

mire ghar se ziyāda duur sahrā bhī nahīñ lekin

udāsī naam letī nahīñ bāhar nikalne

chaḌhegā zahr ḳhushbū use āhista āhista

kabhī bhugtegā vo ḳhamyāza phūloñ ko masalne

musalsal jāgne ke ba.ad ḳhvāhish ruuTh jaatī hai

chalan sīkhā hai bachche tarah us ne machalne

zar-e-dil le ke pahuñchā thā matā-e-jāñ bhī kho baiThā

diyā us ne na mauqa.a bhī kaf-e-afsos milne

ḳhushī se kaun kartā hai ġhamoñ parvarish 'sājid'

kise hai shauq logo dard ke sāñche meñ Dhalne

pata kaise chale duniya ko qasr-e-dil ke jalne ka

dhuen ko rasta milta nahin bahar nikalne ka

bata phulon ki masnad se utar ke tujh pe kya guzri

mera kya main to aadi ho gaya kanTon pe chalne ka

mere ghar se ziyaada dur sahra bhi nahin lekin

udasi nam hi leti nahin bahar nikalne ka

chaDhega zahr KHushbu ka use aahista aahista

kabhi bhugtega wo KHamyaza phulon ko masalne ka

musalsal jagne ke baad KHwahish ruTh jati hai

chalan sikha hai bachche ki tarah us ne machalne ka

zar-e-dil le ke pahuncha tha mata-e-jaan bhi kho baiTha

diya us ne na mauqa bhi kaf-e-afsos milne ka

KHushi se kaun karta hai ghamon ki parwarish 'sajid'

kise hai shauq logo dard ke sanche mein Dhalne ka

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Iqbal Sajid

Iqbal Sajid

Source :
  • Book : kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 276)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now