parda rahā ki jalva-e-vahdat-numā huā
ġhash ne ḳhabar na dī mujhe kab sāmnā huā
dushman kī dostī kā natīja burā huā
ḳhanjar gale milā to mirā sar judā huā
mahshar meñ rañg-e-chehra-e-zālim havā huā
sach hai burā huā ki mirā sāmnā huā
gulshan se uTh ke merā makāñ dil meñ aa gayā
ik daaġh ban gayā hai nasheman jalā huā
kyā tīrgī liye hue aa.ī shuā-e-nūr
dekhā shab-e-firāq azal kā likhā huā
ghar dil meñ kar chukā hai mirā nauha-e-qafas
sayyād qaid hogā agar maiñ rihā huā
jab tak thā maiñ uruuj pe thā husn-e-jāñ-sitāñ
phir kuchh ḳhabar nahīñ ki mire ba.ad kyā huā
kahne ko musht-e-par kī asīrī to thī magar
ḳhāmosh ho gayā hai chaman boltā huā
tū jis meñ thā vo manzil-e-hastī meñ hai zarūr
merī fanā se dil mirā kyuuñ kar fanā huā
niiñd un kī yuuñ uḌī hai ki aatī nahīñ kabhī
marne ke ba.ad ab mirā nāla-rasā huā
sayyād kā ghar aaj hai jaise chaman thā kal
shāyad qafas kā baiThne vaalā rihā huā
tasvīr merī umr-e-guzishta kī dekh jaao
turbat pe ik charāġh hī vo bhī bujhā huā
apne bhī mujh se ḳhush na rahe bāġh-e-dahr meñ
bigḌā kiyā mujhī se nasheman banā huā
chamkā hai kuchh vo jalva-e-ruḳh ho ki dāġh-e-ishq
donoñ diloñ meñ ek na ik mubtalā huā
DhūñDe na mil sake mujhe zulmat meñ māh-o-sāl
rū-e-sahar bhī chashma-e-āb-e-baqā huā
ik umr ho ga.ī ki hai bārish meñ chashm-e-tar
ab tak na koī naḳhl-e-tamannā harā huā
'sāqib' ḳhabar na thī ki falak meñ haiñ gardisheñ
maiñ aa ke dāna-e-dahn-e-āsiyā huā
parda raha ki jalwa-e-wahdat-numa hua
ghash ne KHabar na di mujhe kab samna hua
dushman ki dosti ka natija bura hua
KHanjar gale mila to mera sar juda hua
mahshar mein rang-e-chehra-e-zalim hawa hua
sach hai bura hua ki mera samna hua
gulshan se uTh ke mera makan dil mein aa gaya
ek dagh ban gaya hai nasheman jala hua
kya tirgi liye hue aai shua-e-nur
dekha shab-e-firaq azal ka likha hua
ghar dil mein kar chuka hai mera nauha-e-qafas
sayyaad qaid hoga agar main riha hua
jab tak tha main uruj pe tha husn-e-jaan-sitan
phir kuchh KHabar nahin ki mere baad kya hua
kahne ko musht-e-par ki asiri to thi magar
KHamosh ho gaya hai chaman bolta hua
tu jis mein tha wo manzil-e-hasti mein hai zarur
meri fana se dil mera kyun kar fana hua
nind un ki yun uDi hai ki aati nahin kabhi
marne ke baad ab mera nala-rasa hua
sayyaad ka ghar aaj hai jaise chaman tha kal
shayad qafas ka baiThne wala riha hua
taswir meri umr-e-guzishta ki dekh jao
turbat pe ek charagh hi wo bhi bujha hua
apne bhi mujh se KHush na rahe bagh-e-dahr mein
bigDa kiya mujhi se nasheman bana hua
chamka hai kuchh wo jalwa-e-ruKH ho ki dagh-e-ishq
donon dilon mein ek na ek mubtala hua
DhunDe na mil sake mujhe zulmat mein mah-o-sal
ru-e-sahar bhi chashma-e-ab-e-baqa hua
ek umr ho gai ki hai barish mein chashm-e-tar
ab tak na koi naKHl-e-tamanna hara hua
'saqib' KHabar na thi ki falak mein hain gardishen
main aa ke dana-e-dahn-e-asiya hua
Source :
- Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 171)
- Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
-
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.