furqat-gazida jism hai aur waqt raat ka
furqat-gazīda jism hai aur vaqt raat kā
siine meñ aa ghusā hai ḳhalā kā.ināt kā
ḳhālī kitāb rakh dī thī āñkhoñ ke rū-barū
aur DhūñDnā thā rāsta us meñ najāt kā
ik raushnī ne maañg lī qīmat vujūd kī
hai qarz ye shu'ūr pe shāyad hayāt kā
tasvīr kholtī rahī parteñ ḳhayāl kī
har zāviya thā naqsh kisī vārdāt kā
ḳhvāboñ ke jism chaak the nīñdoñ ke jabr se
sūraj nikal rahā thā magar mumkināt kā
sāñseñ to chal rahīñ thiiñ faqat rasm-e-zīst meñ
ehsās par nahīñ thā koī bhī hayāt kā
dhaḌkan meñ gūñjtī haiñ sadā.eñ purānī sī
sannāTā boltā hai yahāñ roz raat kā
maiñ ne ḳhalā ko chhū liyā andāz-e-‘ishq meñ
maiñ hī vo aa.ina huuñ kisī mumkināt kā
yādoñ kā shor phail gayā hai vujūd meñ
āġhāz ho chukā hai na.ī kaifiyāt kā
furqat-gazida jism hai aur waqt raat ka
sine mein aa ghusa hai KHala kainat ka
KHali kitab rakh di thi aankhon ke ru-baru
aur DhunDna tha rasta us mein najat ka
ek raushni ne mang li qimat wujud ki
hai qarz ye shu'ur pe shayad hayat ka
taswir kholti rahi parten KHayal ki
har zawiya tha naqsh kisi wardat ka
KHwabon ke jism chaak the nindon ke jabr se
suraj nikal raha tha magar mumkinat ka
sansen to chal rahin thin faqat rasm-e-zist mein
ehsas par nahin tha koi bhi hayat ka
dhaDkan mein gunjti hain sadaen purani si
sannaTa bolta hai yahan roz raat ka
main ne KHala ko chhu liya andaz-e-‘ishq mein
main hi wo aaina hun kisi mumkinat ka
yaadon ka shor phail gaya hai wujud mein
aaghaz ho chuka hai nai kaifiyat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.