ek dukh intihai hai mujhko
ek dukh intihā.ī hai mujh ko
achchhī lagtī judā.ī hai mujh ko
ho gayā huuñ maiñ apnā hī dushman
kis ne paTTī paḌhā.ī hai mujh ko
maiñ to qaa.il thā sirf paanī kā
aag tum ne dikhā.ī hai mujh ko
mujh ko aanā nahīñ thā is jānib
ye ghaTā khīñch laa.ī hai mujh ko
yā'nī achchhā nahīñ maiñ ho saktā
phir tirī yaad aa.ī hai mujh ko
ek dukh intihai hai mujh ko
achchhi lagti judai hai mujh ko
ho gaya hun main apna hi dushman
kis ne paTTi paDhai hai mujh ko
main to qail tha sirf pani ka
aag tum ne dikhai hai mujh ko
mujh ko aana nahin tha is jaanib
ye ghaTa khinch lai hai mujh ko
ya'ni achchha nahin main ho sakta
phir teri yaad aai hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.