baat ab bhi kahin dabi hai koi
baat ab bhī kahīñ dabī hai koī
hai añdherā yā raushnī hai koī
chhoḌ kar kyuuñ gayā mujhe āḳhir
us kī marzī yā bebasī hai koī
jī rahā huuñ maiñ ab binā us ke
sochtā huuñ ye zindagī hai koī
log āvāz tak nahīñ sunte
naav mañjdhār meñ phañsī hai koī
dafn hote haiñ roz ḳhvāb na.e
ye ġharībī bhī tishnagī hai koī
baat ab bhi kahin dabi hai koi
hai andhera ya raushni hai koi
chhoD kar kyun gaya mujhe aaKHir
us ki marzi ya bebasi hai koi
ji raha hun main ab bina us ke
sochta hun ye zindagi hai koi
log aawaz tak nahin sunte
naw manjdhaar mein phansi hai koi
dafn hote hain roz KHwab nae
ye gharibi bhi tishnagi hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.