mahfil mein bar bar kisi par nazar gai
mahfil meñ baar baar kisī par nazar ga.ī
ham ne bachā.ī laakh magar phir udhar ga.ī
un kī nazar meñ koī to jaadū zarūr hai
jis par paḌī usī ke jigar tak utar ga.ī
us be-vafā kī aañkh se aañsū chhalak paḌe
hasrat bharī nigāh baḌā kaam kar ga.ī
un ke jamāl-e-ruḳh pe unhīñ kā jamāl thā
vo chal diye to raunaq-e-shām-o-sahar ga.ī
un ko ḳhabar karo ki hai 'bismil' qarīb-e-marg
vo ā.eñge zarūr jo un tak ḳhabar ga.ī
mahfil mein bar bar kisi par nazar gai
hum ne bachai lakh magar phir udhar gai
un ki nazar mein koi to jadu zarur hai
jis par paDi usi ke jigar tak utar gai
us be-wafa ki aankh se aansu chhalak paDe
hasrat bhari nigah baDa kaam kar gai
un ke jamal-e-ruKH pe unhin ka jamal tha
wo chal diye to raunaq-e-sham-o-sahar gai
un ko KHabar karo ki hai 'bismil' qarib-e-marg
wo aaenge zarur jo un tak KHabar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.