har dard ko ai jaan main sine mein chhupa lun
har dard ko ai jaan maiñ siine meñ chhupā luuñ
kāñTe tirī rāhoñ ke maiñ palkoñ pe sajā luuñ
bichhḌī hai mirī niiñd bhī bichhḌā hai tū jab se
jī chāhe tujhe roz hī ḳhvāboñ meñ bulā luuñ
to paas na aa haañ zarā dāman to baḌhā de
ashkoñ ko kahāñ tak maiñ in āñkhoñ meñ sañbhālūñ
ye 'ishq kā ilzām bhī ilzām hai koī
tere liye duniyā ke har ilzām uThā luuñ
le jaa.e kahāñ jaane hameñ vaqt kā dariyā
is dil pe lage zaḳhm zarā aaj dikhā luuñ
har dard ko ai jaan main sine mein chhupa lun
kanTe teri rahon ke main palkon pe saja lun
bichhDi hai meri nind bhi bichhDa hai tu jab se
ji chahe tujhe roz hi KHwabon mein bula lun
to pas na aa han zara daman to baDha de
ashkon ko kahan tak main in aankhon mein sanbhaalun
ye 'ishq ka ilzam bhi ilzam hai koi
tere liye duniya ke har ilzam uTha lun
le jae kahan jaane hamein waqt ka dariya
is dil pe lage zaKHm zara aaj dikha lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.