ishq ki mar baDi dardili ishq mein ji na phansana ji
'ishq kī maar baḌī dardīlī 'ishq meñ jī na phañsānā jī
sab kuchh karnā 'ishq na karnā 'ishq se jaan bachānā jī
vaqt na dekhe 'umr na dekhe jab chāhe majbūr kare
maut aur 'ishq ke aage to koī chale na bahāna jī
'ishq kī Thokar maut kī hichkī donoñ kā hai ek asar
ek kare ghar ghar rusvā.ī ek kare afsāna jī
'ishq kī ne'mat phir bhī yaaro har ne'mat par bhārī hai
'ishq kī Tīseñ den ḳhudā kī 'ishq se kyā ghabrānā jī
'ishq kī nazroñ meñ sab yaksāñ kā'ba kyā but-ḳhāna kyā
'ishq meñ duniyā 'uqbā kyā hai kyā apnā begāna jī
raah kaThin haiñ pī ke nagar kī aag pe chal kar jaanā hai
'ishq hai sīḌhī pī ke milan kī jo chāhe to nibhānā jī
'tarz' bahut din jhel chuke tum duniyā kī zanjīroñ ko
toḌ ke piñjra ab to tumheñ hai des piyā ke jaanā jī
'ishq ki mar baDi dardili 'ishq mein ji na phansana ji
sab kuchh karna 'ishq na karna 'ishq se jaan bachana ji
waqt na dekhe 'umr na dekhe jab chahe majbur kare
maut aur 'ishq ke aage to koi chale na bahana ji
'ishq ki Thokar maut ki hichki donon ka hai ek asar
ek kare ghar ghar ruswai ek kare afsana ji
'ishq ki ne'mat phir bhi yaro har ne'mat par bhaari hai
'ishq ki Tisen den KHuda ki 'ishq se kya ghabrana ji
'ishq ki nazron mein sab yaksan ka'ba kya but-KHana kya
'ishq mein duniya 'uqba kya hai kya apna begana ji
rah kaThin hain pi ke nagar ki aag pe chal kar jaana hai
'ishq hai siDhi pi ke milan ki jo chahe to nibhana ji
'tarz' bahut din jhel chuke tum duniya ki zanjiron ko
toD ke pinjra ab to tumhein hai des piya ke jaana ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.