paya nahin wo jo kho raha hun
paayā nahīñ vo jo kho rahā huuñ
taqdīr ko apnī ro rahā huuñ
is soch meñ zindagī bitā dī
jaagā huā huuñ ki so rahā huuñ
phir kis se uThegā bojh merā
is fikr meñ ḳhud ko Dho rahā huuñ
kāñToñ ko pilā ke ḳhuun apnā
rāhoñ meñ gulāb bo rahā huuñ
jharnā ho nadī ho yā samundar
kuuze meñ sab samo rahā huuñ
har rañg gañvā chukā hai pahchān
paanī meñ qalam Dubo rahā huuñ
patthar ke libās ko maiñ 'shāhid'
shīshe kī siloñ pe dho rahā huuñ
paya nahin wo jo kho raha hun
taqdir ko apni ro raha hun
is soch mein zindagi bita di
jaga hua hun ki so raha hun
phir kis se uThega bojh mera
is fikr mein KHud ko Dho raha hun
kanTon ko pila ke KHun apna
rahon mein gulab bo raha hun
jharna ho nadi ho ya samundar
kuze mein sab samo raha hun
har rang ganwa chuka hai pahchan
pani mein qalam Dubo raha hun
patthar ke libas ko main 'shahid'
shishe ki silon pe dho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.