Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin

Abdul Hamid

panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin

Abdul Hamid

MORE BYAbdul Hamid

    paañv rukte nahīñ zehn Thahartā nahīñ

    koī nashsha hai thakan ki utartā nahīñ

    din guzarte haiñ guzarte chale jaate haiñ

    ek lamha jo kisī tarah guzartā nahīñ

    bhārī darvāza-e-āhan ki nahīñ khul paatā

    mere siine meñ ye sannāTā utartā nahīñ

    dast-e-jāñ se maiñ uThā luuñ use luuñ lekin

    dil vo zahrāb pyāla hai ki bhartā nahīñ

    kyā liye phirtā huuñ maiñ aab sarāb āñkhoñ meñ

    Dūbtā nahīñ koī ki ubhartā nahīñ

    ye pighaltī nahīñ sham.a ki jaltī nahīñ

    ye bikhartā nahīñ dasht ki martā nahīñ

    kuchh na kahiye to bhalā yuuñ samajhte rahiye

    pūchh liije to vo aiboñ se mukartā nahīñ

    panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin

    koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin

    din guzarte hain guzarte hi chale jate hain

    ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin

    bhaari darwaza-e-ahan ki nahin khul pata

    mere sine mein ye sannaTa utarta hi nahin

    dast-e-jaan se main uTha lun use pi lun lekin

    dil wo zahrab pyala hai ki bharta hi nahin

    kya liye phirta hun main aab sarab aankhon mein

    Dubta hi nahin koi ki ubharta hi nahin

    ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin

    ye bikharta hi nahin dasht ki marta hi nahin

    kuchh na kahiye to bhala yun hi samajhte rahiye

    puchh lije to wo aibon se mukarta hi nahin

    RECITATIONS

    Abdul Hamid

    Abdul Hamid,

    Abdul Hamid

    panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin Abdul Hamid

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now