chand ke sath kai dard purane nikle
chāñd ke saath ka.ī dard purāne nikle
kitne ġham the jo tire ġham ke bahāne nikle
fasl-e-gul aa.ī phir ik baar asīrān-e-vafā
apne hī ḳhuun ke dariyā meñ nahāne nikle
hijr kī choT 'ajab sang-shikan hotī hai
dil kī be-faiz zamīnoñ se ḳhazāne nikle
'umr guzrī hai shab-e-tār meñ āñkheñ malte
kis 'ufuq se mirā ḳhurshīd na jaane nikle
kū-e-qātil meñ chale jaise shahīdoñ kā julūs
ḳhvāb yuuñ bhīgtī āñkhoñ ko sajāne nikle
dil ne ik iiñT se tā'mīr kiyā tāj-mahal
tū ne ik baat kahī laakh fasāne nikle
dasht-e-tanhā.ī-e-hijrāñ meñ khaḌā sochtā huuñ
haa.e kyā log mirā saath nibhāne nikle
maiñ ne 'amjad' use be-vāsta dekhā hī nahīñ
vo to ḳhushbū meñ bhī aahaT ke bahāne nikle
chand ke sath kai dard purane nikle
kitne gham the jo tere gham ke bahane nikle
fasl-e-gul aai phir ek bar asiran-e-wafa
apne hi KHun ke dariya mein nahane nikle
hijr ki choT 'ajab sang-shikan hoti hai
dil ki be-faiz zaminon se KHazane nikle
'umr guzri hai shab-e-tar mein aankhen malte
kis 'ufuq se mera KHurshid na jaane nikle
ku-e-qatil mein chale jaise shahidon ka julus
KHwab yun bhigti aankhon ko sajaane nikle
dil ne ek inT se ta'mir kiya taj-mahal
tu ne ek baat kahi lakh fasane nikle
dasht-e-tanhai-e-hijran mein khaDa sochta hun
hae kya log mera sath nibhane nikle
main ne 'amjad' use be-wasta dekha hi nahin
wo to KHushbu mein bhi aahaT ke bahane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.