Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab sarikha chhuTpan sawan pyaz ki roTi desi ghi

Shaariq Qamar

KHwab sarikha chhuTpan sawan pyaz ki roTi desi ghi

Shaariq Qamar

MORE BYShaariq Qamar

    ḳhvāb sarīkhā chhuTpan sāvan pyaaz roTī desī ghī

    ammā ke sil-baTTe vaalī dhaniye lahsan chaTnī

    kachchī miTTī ke ghar jaise bachchoñ ko sahlāte the

    gubrī vaale dālānoñ par choT kabhī na lagtī thī

    das-bārah chhedoñ se paanī favāre paḌtā thā

    ghar meñ TuuTī tillī vaalī ek purānī chhatrī

    cycle thoḌī chaubīs inchī uuñT chalāyā karte the

    vo bhī tiin charan meñ bhayyā qaiñchī DañDā phir gaddī

    nekar vaalī umroñ tak ham ḳhaak samajhte the jūThan

    tote ke katre amrūdoñ ko khāne hoḌ rahī

    ghar khapḌailoñ ke andar Tap-Tap megh baraste the

    ammā baabū Tāñkte rahte Tiin meñ sābun Tikkī

    āñgan ke āġhosh meñ leTe shab-bhar naam bigāḌe the

    tāroñ ko ishTār kahe the aur 'qamar' ko maamā

    KHwab sarikha chhuTpan sawan pyaz ki roTi desi ghi

    amma ke sil-baTTe wali dhaniye lahsan ki chaTni

    kachchi miTTi ke ghar jaise bachchon ko sahlate the

    gubri wale dalanon par choT kabhi na lagti thi

    das-barah chhedon se pani faware sa paDta tha

    ghar mein TuTi tilli wali ek purani si chhatri

    cycle thoDi chaubis inchi unT chalaya karte the

    wo bhi tin charan mein bhayya qainchi DanDa phir gaddi

    nekar wali umron tak hum KHak samajhte the juThan

    tote ke katre amrudon ko khane ki hoD rahi

    ghar ki khapDailon ke andar Tap-Tap megh baraste the

    amma babu Tankte rahte Tin mein sabun ki Tikki

    aangan ke aaghosh mein leTe shab-bhar nam bigaDe the

    taron ko ishTar kahe the aur 'qamar' ko mama ji

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now