Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin

Amjad Islam Amjad

nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    nikal ke halqa-e-shām-o-sahar se jaa.eñ kahīñ

    zamīñ ke saath na mil jaa.eñ ye ḳhalā.eñ kahīñ

    safar raat hai pichhlī kahāniyāñ na kaho

    rutoñ ke saath palaTtī haiñ kab havā.eñ kahīñ

    fazā meñ tairte rahte haiñ naqsh se kyā kyā

    mujhe talāsh na kartī hoñ ye balā.eñ kahīñ

    havā hai tez charāġh-e-vafā zikr to kyā

    tanābeñ ḳhema-e-jāñ na TuuT jaa.eñ kahīñ

    maiñ os ban ke gul-e-harf par chamaktā huuñ

    nikalne vaalā hai sūraj mujhe chhupā.eñ kahīñ

    mire vajūd pe utrī haiñ lafz sūrat

    bhaTak rahī thiiñ ḳhalāoñ meñ ye sadā.eñ kahīñ

    havā lams hai paañv meñ beḌiyoñ tarah

    shafaq aañch se āñkheñ pighal na jaa.eñ kahīñ

    rukā huā hai sitāroñ kārvāñ 'amjad'

    charāġh apne lahū se ab jalā.eñ kahīñ

    nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin

    zamin ke sath na mil jaen ye KHalaen kahin

    safar ki raat hai pichhli kahaniyan na kaho

    ruton ke sath palaTti hain kab hawaen kahin

    faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya

    mujhe talash na karti hon ye balaen kahin

    hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya

    tanaben KHema-e-jaan ki na TuT jaen kahin

    main os ban ke gul-e-harf par chamakta hun

    nikalne wala hai suraj mujhe chhupaen kahin

    mere wajud pe utri hain lafz ki surat

    bhaTak rahi thin KHalaon mein ye sadaen kahin

    hawa ka lams hai panw mein beDiyon ki tarah

    shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaen kahin

    ruka hua hai sitaron ka karwan 'amjad'

    charagh apne lahu se hi ab jalaen kahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now