Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se

Sada Ambalvi

nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se

Sada Ambalvi

niiñd aa.ī nahīñ ham ko na pūchho kab se

aañkh lagtī nahīñ dil hai lagāyā jab se

un ko mahbūb kaheñ ki raqīb ab apnā

un ko bhī pyaar huā jaa.e hai apnī chhab se

ashk āñkhoñ se mirī nikle musalsal lekin

us ne ik harf-e-tasallī na nikālā lab se

dil sikhātā hai sab ādāb mohabbat ke ḳhud

ye sabaq sīkhā nahīñ jaatā kisī maktab se

apnī urdu to mohabbat zabāñ thī pyāre

uff siyāsat ne use joḌ diyā maz.hab se

maiñ bhī to dekhūñ ġharaz se jhukī āñkheñ un

kaash aa.eñ vo mire paas kabhī matlab se

bhiiḌ ham jaisoñ rahtī hai hamesha yuuñ to

raushnī hotī hai mahfil meñ bas ik kaukab se

mirī āñkhoñ ke liye raushnī se hai baḌh kar

tirī zulfoñ siyāhī jo hai gahrī shab se

siikh nafrat na de ai 'sadā' maz.hab koī

hai usuul apnā kiye jaao mohabbat sab se

nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se

aankh lagti hi nahin dil hai lagaya jab se

un ko mahbub kahen ya ki raqib ab apna

un ko bhi pyar hua jae hai apni chhab se

ashk aankhon se meri nikle musalsal lekin

us ne ek harf-e-tasalli na nikala lab se

dil sikhata hai sab aadab mohabbat ke KHud

ye sabaq sikha nahin jata kisi maktab se

apni urdu to mohabbat ki zaban thi pyare

uff siyasat ne use joD diya mazhab se

main bhi to dekhun gharaz se jhuki aankhen un ki

kash aaen wo mere pas kabhi matlab se

bhiD hum jaison ki rahti hai hamesha yun to

raushni hoti hai mahfil mein bas ek kaukab se

meri aankhon ke liye raushni se hai baDh kar

teri zulfon ki siyahi jo hai gahri shab se

sikh nafrat ki na de ai 'sada' mazhab koi

hai usul apna kiye jao mohabbat sab se

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ghulam Abbas

Ghulam Abbas

Unknown

Unknown

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now