na zulf-e-sham na ru-e-sahar ko dekhte hain
na zulf-e-sham na ru-e-sahar ko dekhte hain
Akhtar Ansari Akbarabadi
MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi
na zulf-e-shām na rū-e-sahar ko dekhte haiñ
ham ahl-e-shauq tumhārī nazar ko dekhte haiñ
hujūm-e-rahmat-e-parvardigār kyā kahiye
maqām-e-'azmat-e-dāmān-e-tar ko dekhte haiñ
haiñ nau-asīr gumān-o-yaqīñ ke phande meñ
kabhī qafas ko kabhī bāl-o-par ko dekhte haiñ
ab ahl-e-hosh pe TuuTe haiñ hairatoñ ke pahāḌ
mire junūn-e-vafā ke asar ko dekhte haiñ
qadam qadam pe nazar aa ga.ī hameñ manzil
vo aur log haiñ jo rahguzar ko dekhte haiñ
na zulf-e-sham na ru-e-sahar ko dekhte hain
hum ahl-e-shauq tumhaari nazar ko dekhte hain
hujum-e-rahmat-e-parwardigar kya kahiye
maqam-e-'azmat-e-daman-e-tar ko dekhte hain
hain nau-asir guman-o-yaqin ke phande mein
kabhi qafas ko kabhi baal-o-par ko dekhte hain
ab ahl-e-hosh pe TuTe hain hairaton ke pahaD
mere junun-e-wafa ke asar ko dekhte hain
qadam qadam pe nazar aa gai hamein manzil
wo aur log hain jo rahguzar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.