Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

Aftab Hussain

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

Aftab Hussain

nigāh ke liye ik ḳhvāb bhī ġhanīmat hai

vo tīrgī hai ki ye raushnī ġhanīmat hai

chalo kahīñ pe ta.alluq koī shakl to ho

kisī ke dil meñ kisī kamī ġhanīmat hai

kam o ziyāda pe isrār kyā kiyā jaa.e

hamāre daur meñ itnī bhī ġhanīmat hai

badal rahe haiñ zamāne ke rañg kyā kyā dekh

nazar uThā ki ye nazzārgī ġhanīmat hai

na jaane vaqt gardish dikhā.egī kyā ruḳh

guzar rahī hai jo ye zindagī ġhanīmat hai

ġham-e-jahāñ ke jhameloñ meñ āftāb 'husain'

ḳhayāl-e-yār āsūdgī ġhanīmat hai

nigah ke liye ek KHwab bhi ghanimat hai

wo tirgi hai ki ye raushni ghanimat hai

chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho

kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai

kam o ziyaada pe israr kya kiya jae

hamare daur mein itni si bhi ghanimat hai

badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh

nazar uTha ki ye nazzargi ghanimat hai

na jaane waqt ki gardish dikhaegi kya ruKH

guzar rahi hai jo ye zindagi ghanimat hai

gham-e-jahan ke jhamelon mein aaftab 'husain'

KHayal-e-yar ki aasudgi ghanimat hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now