naqab ulTa hai shamon ne sitaro tum to so jao
naqāb ulTā hai sham.oñ ne sitāro tum to so jaao
kareñge raqs parvāne sitāro tum to so jaao
nigāhoñ meñ nigah Daale nashe meñ chuur matvāle
paḌheñge dil ke afsāne sitāro tum to so jaao
sajegī mahfil-e-yārāñ badan sīmābī jūmeñge
kareñge raqs paimāne sitāro tum to so jaao
bhaTakte haiñ gulistāñ meñ bayābānoñ meñ sahrā meñ
misāl-e-qais dīvāne sitāro tum to so jaao
vo baiThe haiñ jhukā.e sar adā-e-dil-navāzī se
lage haiñ ḳhud se sharmāne sitāro tum to so jaao
khulī zulfeñ liye vo jhiil kī jānib ḳhirāmāñ se
barahna-pā lage aane sitāro tum to so jaao
dabā.e hoñT dāñtoñ meñ lage haiñ chashm-o-mizhgāñ se
nazar ke tiir barsāne sitāro tum to so jaao
utar kar āsmāñ se dekhiye rūThe sanam ko ab
qamar aayā hai bahlāne sitāro tum to so jaao
hue haiñ TukḌe TukḌe ab dil-e-bismil ke ai 'kaifī'
ki hogā kyā ḳhudā jaane sitāro tum to so jaao
naqab ulTa hai shamon ne sitaro tum to so jao
karenge raqs parwane sitaro tum to so jao
nigahon mein nigah Dale nashe mein chur matwale
paDhenge dil ke afsane sitaro tum to so jao
sajegi mahfil-e-yaran badan simabi jumenge
karenge raqs paimane sitaro tum to so jao
bhaTakte hain gulistan mein bayabanon mein sahra mein
misal-e-qais diwane sitaro tum to so jao
wo baiThe hain jhukae sar ada-e-dil-nawazi se
lage hain KHud se sharmane sitaro tum to so jao
khuli zulfen liye wo jhil ki jaanib KHiraman se
barahna-pa lage aane sitaro tum to so jao
dabae honT danton mein lage hain chashm-o-mizhgan se
nazar ke tir barsane sitaro tum to so jao
utar kar aasman se dekhiye ruThe sanam ko ab
qamar aaya hai bahlane sitaro tum to so jao
hue hain TukDe TukDe ab dil-e-bismil ke ai 'kaifi'
ki hoga kya KHuda jaane sitaro tum to so jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.