mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mire baare meñ kuchh socho mujhe niiñd aa rahī hai
mujhe zaa.e.a na hone do mujhe niiñd aa rahī hai
mire andar ke dukh chehre se zāhir ho rahe haiñ
mirī tasvīr mat khīñcho mujhe niiñd aa rahī hai
to kyā saare gile-shikve abhī kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe niiñd aa rahī hai
sahar hogī to dekheñge ki haiñ kyā kyā masā.il
zarā sī der sone do mujhe niiñd aa rahī hai
tumhārā kaam hai saarī hiseñ bedār rakhnā
mire shāne pe sar rakkho mujhe niiñd aa rahī hai
bahut kuchh tum se kahnā thā magar maiñ kah na paayā
lo merī Diary rakh lo mujhe niiñd aa rahī hai
mere bare mein kuchh socho mujhe nind aa rahi hai
mujhe zaea na hone do mujhe nind aa rahi hai
mere andar ke dukh chehre se zahir ho rahe hain
meri taswir mat khincho mujhe nind aa rahi hai
to kya sare gile-shikwe abhi kar loge mujh se
kuchh ab kal ke liye rakkho mujhe nind aa rahi hai
sahar hogi to dekhenge ki hain kya kya masail
zara si der sone do mujhe nind aa rahi hai
tumhaara kaam hai sari hisen bedar rakhna
mere shane pe sar rakkho mujhe nind aa rahi hai
bahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paya
lo meri Diary rakh lo mujhe nind aa rahi hai
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.