din Dhala raat phir aa gai so raho so raho
din Dhalā raat phir aa ga.ī so raho so raho
manziloñ chhā ga.ī ḳhāmushī so raho so raho
saarā din tapte sūraj kī garmī meñ jalte rahe
ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho
garm sunsān qariyoñ kī dhartī mahakne lagī
ḳhaak rashk-e-iram ban ga.ī so raho so raho
razm-gāh-e-jahāñ ban ga.ī jā-e-aman-o-amāñ
hai yahī vaqt kī rāgnī so raho so raho
kaise sunsān haiñ āsmāñ chup khaḌe haiñ makāñ
hai fazā ajnabī ajnabī so raho so raho
thak ga.e naaqa o sārbāñ tham ga.e kārvāñ
ghanTiyoñ kī sadā so ga.ī so raho so raho
chāñdnī aur dhueñ ke sivā duur tak kuchh nahīñ
so ga.ī shahr kī har galī so raho so raho
gardish-e-vaqt kī loriyāñ raat kī raat haiñ
phir kahāñ ye havā ye namī so raho so raho
saarī bastī ke log is madhur lai meñ kho.e ga.e
duur bajne lagī bāñsurī so raho so raho
duur shāḳhoñ ke jhurmuT meñ jugnū bhī gum ho ga.e
chāñd meñ so ga.ī chāñdnī so raho so raho
ghar ke dīvār-o-dar raah tak tak ke shal ho ga.e
ab na aa.egā shāyad koī so raho so raho
sust raftār taare bhī āñkheñ jhapakne lage
ġham ke maaro ghaḌī do ghaḌī so raho so raho
muñh-añdhere hī 'nāsir' kise DhūñDne chal diye
duur hai sub.h-e-raushan abhī so raho so raho
din Dhala raat phir aa gai so raho so raho
manzilon chha gai KHamushi so raho so raho
sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe
ThanDi ThanDi hawa phir chali so raho so raho
garm sunsan qariyon ki dharti mahakne lagi
KHak rashk-e-iram ban gai so raho so raho
razm-gah-e-jahan ban gai ja-e-aman-o-aman
hai yahi waqt ki ragni so raho so raho
kaise sunsan hain aasman chup khaDe hain makan
hai faza ajnabi ajnabi so raho so raho
thak gae naqa o sarban tham gae karwan
ghanTiyon ki sada so gai so raho so raho
chandni aur dhuen ke siwa dur tak kuchh nahin
so gai shahr ki har gali so raho so raho
gardish-e-waqt ki loriyan raat ki raat hain
phir kahan ye hawa ye nami so raho so raho
sari basti ke log is madhur lai mein khoe gae
dur bajne lagi bansuri so raho so raho
dur shaKHon ke jhurmuT mein jugnu bhi gum ho gae
chand mein so gai chandni so raho so raho
ghar ke diwar-o-dar rah tak tak ke shal ho gae
ab na aaega shayad koi so raho so raho
sust raftar tare bhi aankhen jhapakne lage
gham ke maro ghaDi do ghaDi so raho so raho
munh-andhere hi 'nasir' kise DhunDne chal diye
dur hai subh-e-raushan abhi so raho so raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.