Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga

Shaheen Abbas

zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga

Shaheen Abbas

MORE BYShaheen Abbas

    zamīñ āḳhirī manzar dikhā.ī dene lagā

    maiñ dekhtā huā patthar dikhā.ī dene lagā

    vo sāmne thā to kam kam dikhā.ī detā thā

    chalā gayā to barābar dikhā.ī dene lagā

    nishān-e-hijr bhī hai vasl nishāniyoñ meñ

    kahāñ zaḳhm kahāñ par dikhā.ī dene lagā

    vo is tarah se mujhe dekhtā huā guzrā

    maiñ apne aap ko behtar dikhā.ī dene lagā

    tujhe ḳhabar nahīñ raat mo.ajiza jo huā

    añdhere ko, tujhe chhū kar, dikhā.ī dene lagā

    kuchh itne ġhaur se dekhā charāġh jaltā huā

    ki maiñ charāġh ke andar dikhā.ī dene lagā

    pahuñch gayā tirī āñkhoñ ke us kināre tak

    jahāñ se mujh ko samundar dikhā.ī dene lagā

    zamin ka aaKHiri manzar dikhai dene laga

    main dekhta hua patthar dikhai dene laga

    wo samne tha to kam kam dikhai deta tha

    chala gaya to barabar dikhai dene laga

    nishan-e-hijr bhi hai wasl ki nishaniyon mein

    kahan ka zaKHm kahan par dikhai dene laga

    wo is tarah se mujhe dekhta hua guzra

    main apne aap ko behtar dikhai dene laga

    tujhe KHabar hi nahin raat moajiza jo hua

    andhere ko, tujhe chhu kar, dikhai dene laga

    kuchh itne ghaur se dekha charagh jalta hua

    ki main charagh ke andar dikhai dene laga

    pahunch gaya teri aankhon ke us kinare tak

    jahan se mujh ko samundar dikhai dene laga

    Source :
    • Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 20)
    • Author :Shaheen Abbas
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now