Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye

Hafeez Hoshiarpuri

aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye

Hafeez Hoshiarpuri

aaj unheñ kuchh is tarah khol kar dekhā kiye

ek lamhe meñ jaise umr-bhar dekhā kiye

dil agar betāb hai dil muqaddar hai yahī

jis qadar thī ham ko taufīq-e-nazar dekhā kiye

ḳhud-faroshāna adā thī merī sūrat dekhnā

apne jalve ba-andāz-e-digar dekhā kiye

nā-shanās-e-ġham faqat dād-e-hunar dete rahe

ham matā-e-ġham ko rusva-e-hunar dekhā kiye

dekhne ab ye aalam hai koī ho na ho

ham jidhar dekhā kiye pahroñ udhar dekhā kiye

husn ko dekhā hai maiñ ne husn ḳhātir 'hafīz'

varna sab apnā meyār-e-nazar dekhā kiye

aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye

ek hi lamhe mein jaise umr-bhar dekha kiye

dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi

jis qadar thi hum ko taufiq-e-nazar dekha kiye

KHud-faroshana ada thi meri surat dekhna

apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye

na-shanas-e-gham faqat dad-e-hunar dete rahe

hum mata-e-gham ko ruswa-e-hunar dekha kiye

dekhne ka ab ye aalam hai koi ho ya na ho

hum jidhar dekha kiye pahron udhar dekha kiye

husn ko dekha hai main ne husn ki KHatir 'hafiz'

warna sab apna hi meyar-e-nazar dekha kiye

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now