Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai

Saghar Siddiqui

nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai

Saghar Siddiqui

nazar nazar be-qarār hai nafas nafas meñ sharār hai

maiñ jāntā huuñ ki tum na aaoge phir bhī kuchh intizār hai

mire azīzo mire rafīqo chalo koī dāstān chheḌo

ġham-e-zamāna baat chhoḌo ye ġham to ab sāzgār hai

vahī fasurda rañg-e-mahfil vahī tirā ek aam jalva

mirī nigāhoñ meñ baar thā mirī nigāhoñ meñ baar hai

kabhī to aao kabhī to baiTho kabhī to dekho kabhī to pūchho

tumhārī bastī meñ ham faqīroñ haal kyuuñ sogvār hai

chalo ki jashn-e-bahār dekheñ chalo ki zarf-e-bahār jāñcheñ

chaman chaman raushnī huī hai kalī kalī pe nikhār hai

ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis aahaT se gul khile haiñ

mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār hai

nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas mein sharar sa hai

main jaanta hun ki tum na aaoge phir bhi kuchh intizar sa hai

mere azizo mere rafiqo chalo koi dastan chheDo

gham-e-zamana ki baat chhoDo ye gham to ab sazgar sa hai

wahi fasurda sa rang-e-mahfil wahi tera ek aam jalwa

meri nigahon mein bar sa tha meri nigahon mein bar sa hai

kabhi to aao kabhi to baiTho kabhi to dekho kabhi to puchho

tumhaari basti mein hum faqiron ka haal kyun sogwar sa hai

chalo ki jashn-e-bahaar dekhen chalo ki zarf-e-bahaar jaanchen

chaman chaman raushni hui hai kali kali pe nikhaar sa hai

ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain

mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now