Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar mili to nazaron mein banT di maine

Kashif Husain Ghair

nazar mili to nazaron mein banT di maine

Kashif Husain Ghair

MORE BYKashif Husain Ghair

    nazar milī to nazāroñ meñ baañT maiñ ne

    ye raushnī bhī sitāroñ meñ baañT maiñ ne

    bas ek shaam bachī thī tumhāre hisse

    magar vo shaam bhī yāroñ meñ baañT maiñ ne

    janāb qarz chukāyā hai yuuñ anāsir

    ki zindagī inhī chāroñ meñ baañT maiñ ne

    pukārte the barābar mujhe safar ke liye

    matā-e-ḳhvāb savāroñ meñ baañT maiñ ne

    havā mizāj thā kartā bhī kyā samundar

    ik ek lahr kināroñ meñ baañT maiñ ne

    nazar mili to nazaron mein banT di main ne

    ye raushni bhi sitaron mein banT di main ne

    bas ek sham bachi thi tumhaare hisse ki

    magar wo sham bhi yaron mein banT di main ne

    janab qarz chukaya hai yun anasir ka

    ki zindagi inhi chaaron mein banT di main ne

    pukarte the barabar mujhe safar ke liye

    mata-e-KHwab sawaron mein banT di main ne

    hawa mizaj tha karta bhi kya samundar ka

    ek ek lahr kinaron mein banT di main ne

    Source :
    • Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 25)
    • Author : Kashif Husain Ghair
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now