narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai
narmī havā kī mauj-e-tarab-ḳhez abhī se hai
ai ham-safīr ātish-e-gul tez abhī se hai
ik tāza-tar savād-e-mohabbat meñ le chalī
vo bū-e-pairahan ki junūñ-ḳhez abhī se hai
ik ḳhvāb-e-tā.irān-e-bahārāñ hai us kī aañkh
ta.abīr-e-abr-o-bād se labrez abhī se hai
shab-tāb abhī se us kī qabāoñ ke rang haiñ
ik dāstāñ jabīn-e-guhar-rez abhī se hai
guzrī hai ek rau mizha-e-ḳhvāb-nāk kī
dil meñ lahū kā rang bahut tez abhī se hai
ā.īna le ke ghuum ga.ī umr-e-navā-ḳhirām
tāza-e-ruḳhī kā moḌ balā-ḳhez abhī se hai
mub.ham se ek ḳhvāb kī ta.abīr kā hai shauq
nīñdoñ meñ bādaloñ kā safar tez abhī se hai
ik taaza mohr-e-lab se junūñ māñgtā hai naqsh
jumbish laboñ kī silsila-āmez abhī se hai
shāyad ki mahramāna bhī uTThe tirī nigāh
vaise tirī nigāh dil-āvez abhī se hai
narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai
ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai
ek taza-tar sawad-e-mohabbat mein le chali
wo bu-e-pairahan ki junun-KHez abhi se hai
ek KHwab-e-tairan-e-bahaaran hai us ki aankh
tabir-e-abr-o-baad se labrez abhi se hai
shab-tab abhi se us ki qabaon ke rang hain
ek dastan jabin-e-guhar-rez abhi se hai
guzri hai ek rau mizha-e-KHwab-nak ki
dil mein lahu ka rang bahut tez abhi se hai
aaina le ke ghum gai umr-e-nawa-KHiram
taza-e-ruKHi ka moD bala-KHez abhi se hai
mubham se ek KHwab ki tabir ka hai shauq
nindon mein baadalon ka safar tez abhi se hai
ek taza mohr-e-lab se junun mangta hai naqsh
jumbish labon ki silsila-amez abhi se hai
shayad ki mahramana bhi uTThe teri nigah
waise teri nigah dil-awez abhi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.