ek phul taza hath mein le kar gulab ka
ik phuul taaza haath meñ le kar gulāb kā
andāza kar rahā huuñ guzishta shabāb kā
kyuuñ badliyoñ meñ chhuptā hai rah rah ke āftāb
shāyad khulā hai band kisī ke naqāb kā
zarḳhez kyuuñ na bārish-e-bārāñ se ho zamīñ
ik ek qatra daana hai durr-e-ḳhush-āb kā
kahte haiñ āsmāñ ko ḳhumistān dahr meñ
ulTā huā hai ek piyāla sharāb kā
mushkil hai ab dukānoñ meñ sastī mile sharāb
TuuTā hai taqvā shaiḳh-e-fazīlat ma.aab kā
kab tak rahegā mai-kasho ehsās-e-kamtarī
pīr-e-muġhāñ se chhīn lo maTkā sharāb kā
ek phul taza hath mein le kar gulab ka
andaza kar raha hun guzishta shabab ka
kyun badliyon mein chhupta hai rah rah ke aaftab
shayad khula hai band kisi ke naqab ka
zarKHez kyun na barish-e-baran se ho zamin
ek ek qatra dana hai durr-e-KHush-ab ka
kahte hain aasman ko KHumistan dahr mein
ulTa hua hai ek piyala sharab ka
mushkil hai ab dukanon mein sasti mile sharab
TuTa hai taqwa shaiKH-e-fazilat maab ka
kab tak rahega mai-kasho ehsas-e-kamtari
pir-e-mughan se chhin lo maTka sharab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.