Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si

Nazeer Akbarabadi

nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si

Nazeer Akbarabadi

nahīñ havā meñ ye nāfa-e-ḳhutan

lapaT hai ye to kisī zulf-e-pur-shikan

maiñ hañs ke is liye muñh chūmtā huuñ ġhunche

ki kuchh nishānī hai us meñ tire dahan

ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo

mujhe aatī hai is meñ kisī badan

hazār tan ke chaleñ bāñke ḳhūb-rū lekin

kisī meñ aan nahīñ tere bāñkpan

mujhe to us pe nihāyat rashk aatā hai

ki jis ke haath ne poshāk tere tan

kahā jo tum ne ki mankā Dhalā to ā.ūñgā

hai baat kuchh na kuchh is meñ bhī makr-o-fan

vagarna sach hai to ai jaan itnī muddat meñ

yahī bas ek kahī tum ne mere man

vo dekh shaiḳh ko lā-haul paḌh ke kahtā hai

''ye aa.e dekhiye dāḌhī lagā.e san sii''

kahāñ aur kahāñ us parī vasl 'nazīr'

miyāñ chhoḌ ye bāteñ divāne-pan

nahin hawa mein ye bu nafa-e-KHutan ki si

lapaT hai ye to kisi zulf-e-pur-shikan ki si

main hans ke is liye munh chumta hun ghunche ka

ki kuchh nishani hai us mein tere dahan ki si

KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo

mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si

hazar tan ke chalen banke KHub-ru lekin

kisi mein aan nahin tere bankpan ki si

mujhe to us pe nihayat hi rashk aata hai

ki jis ke hath ne poshak tere tan ki si

kaha jo tum ne ki manka Dhala to aaunga

hai baat kuchh na kuchh is mein bhi makr-o-fan ki si

wagarna sach hai to ai jaan itni muddat mein

yahi bas ek kahi tum ne mere man ki si

wo dekh shaiKH ko la-haul paDh ke kahta hai

ye aae dekhiye daDhi lagae san ki si

kahan tu aur kahan us pari ka wasl 'nazir'

miyan tu chhoD ye baaten diwane-pan ki si

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now