na din guzara KHushi se na raat ki maine
na din guzārā ḳhushī se na raat kī maiñ ne
batā.ūñ kyā tujhe kaise hayāt kī maiñ ne
ye aur baat ki naav nahīñ bachī merī
magar jo aaj samundar ke saat kī maiñ ne
jahāñ sitāre the ab phuul khil rahe haiñ vahāñ
badal dī shakl tirī kā.enāt kī maiñ ne
koī to sātvīñ samt ab ke le chale mujh ko
ki sair kar lī bahut shash-jihāt kī maiñ ne
usī kā zikr huā jab bhī zikr karnā paḌā
usī kī baat huī jab bhī baat kī maiñ ne
isī liye to mujhe us pe e'tibār nahīñ
sunī huī hai kahānī furāt kī maiñ ne
tamām baaġh thā hairat meñ mubtalā 'āzar'
khilā vo phuul to ḳhushbū se baat kī maiñ ne
na din guzara KHushi se na raat ki main ne
bataun kya tujhe kaise hayat ki main ne
ye aur baat ki naw nahin bachi meri
magar jo aaj samundar ke sat ki main ne
jahan sitare the ab phul khil rahe hain wahan
badal di shakl teri kaenat ki main ne
koi to satwin samt ab ke le chale mujh ko
ki sair kar li bahut shash-jihat ki main ne
usi ka zikr hua jab bhi zikr karna paDa
usi ki baat hui jab bhi baat ki main ne
isi liye to mujhe us pe e'tibar nahin
suni hui hai kahani furaat ki main ne
tamam bagh tha hairat mein mubtala 'azar'
khila wo phul to KHushbu se baat ki main ne
Sooraj Mukhi Ka Phool
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.