Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aaya maza shab ki tanhaiyon mein

Kaif Bhopali

na aaya maza shab ki tanhaiyon mein

Kaif Bhopali

na aayā maza shab tanhā.iyoñ meñ

sahar ho ga.ī chand añgḌā.iyoñ meñ

na rañgīniyoñ meñ na rānā.iyoñ meñ

nazar ghir ga.ī apnī parchhā.iyoñ meñ

mujhe muskurā muskurā kar na dekho

mire saath tum bhī ho rusvā.iyoñ meñ

ġhazab ho gayā un mahfil se aanā

ghirā rahā huuñ tamāshā.iyoñ meñ

mohabbat hai aaj tark-e-mohabbat

zarā mil to jaa.eñ vo tanhā.iyoñ meñ

idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e

chhupā luuñ tumheñ dil gahrā.iyoñ meñ

are sunñe vaalo ye naġhme nahīñ haiñ

mire dil chīḳheñ haiñ shahnā.iyoñ meñ

vo ai 'kaif' jis din se mere hue haiñ

to saarā zamāna hai shaidā.iyoñ meñ

na aaya maza shab ki tanhaiyon mein

sahar ho gai chand angDaiyon mein

na ranginiyon mein na ranaiyon mein

nazar ghir gai apni parchhaiyon mein

mujhe muskura muskura kar na dekho

mere sath tum bhi ho ruswaiyon mein

ghazab ho gaya un ki mahfil se aana

ghira ja raha hun tamashaiyon mein

mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat

zara mil to jaen wo tanhaiyon mein

idhar aao tum ko nazar lag na jae

chhupa lun tumhein dil ki gahraiyon mein

are sunne walo ye naghme nahin hain

mere dil ki chiKHen hain shahnaiyon mein

wo ai 'kaif' jis din se mere hue hain

to sara zamana hai shaidaiyon mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

na aaya maza shab ki tanhaiyon mein Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now