mujhe in aate jate mausamon se Dar nahin lagta
mujhe in aate jaate mausamoñ se Dar nahīñ lagtā
na.e aur pur-azīyat manzaroñ se Dar nahīñ lagtā
ḳhamoshī ke haiñ āñgan aur sannāTe kī dīvāreñ
ye kaise log haiñ jin ko gharoñ se Dar nahīñ lagtā
mujhe is kāġhazī kashtī pe ik andhā bharosā hai
ki tūfāñ meñ bhī gahre pāniyoñ se Dar nahīñ lagtā
samundar chīḳhtā rahtā hai pas-manzar meñ aur mujh ko
añdhere meñ akele sāhiloñ se Dar nahīñ lagtā
ye kaise log haiñ sadiyoñ kī vīrānī meñ rahte haiñ
inheñ kamroñ kī bosīda chhatoñ se Dar nahīñ lagtā
mujhe kuchh aisī āñkheñ chāhiyeñ apne rafīqoñ meñ
jinheñ bebāk sachche ā.inoñ se Dar nahīñ lagtā
mire pīchhe kahāñ aa.e ho nā-mā'lūm kī dhun meñ
tumheñ kyā in añdhere rāstoñ se Dar nahīñ lagtā
ye mumkin hai vo un ko maut kī sarhad pe le jaa.eñ
parindoñ ko magar apne paroñ se Dar nahīñ lagtā
mujhe in aate jate mausamon se Dar nahin lagta
nae aur pur-aziyat manzaron se Dar nahin lagta
KHamoshi ke hain aangan aur sannaTe ki diwaren
ye kaise log hain jin ko gharon se Dar nahin lagta
mujhe is kaghazi kashti pe ek andha bharosa hai
ki tufan mein bhi gahre paniyon se Dar nahin lagta
samundar chiKHta rahta hai pas-manzar mein aur mujh ko
andhere mein akele sahilon se Dar nahin lagta
ye kaise log hain sadiyon ki virani mein rahte hain
inhen kamron ki bosida chhaton se Dar nahin lagta
mujhe kuchh aisi aankhen chahiyen apne rafiqon mein
jinhen bebak sachche aainon se Dar nahin lagta
mere pichhe kahan aae ho na-ma'lum ki dhun mein
tumhein kya in andhere raston se Dar nahin lagta
ye mumkin hai wo un ko maut ki sarhad pe le jaen
parindon ko magar apne paron se Dar nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.