Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko to maraz hai be-KHudi ka

Jaleel Manikpuri

mujhko to maraz hai be-KHudi ka

Jaleel Manikpuri

mujh ko to maraz hai be-ḳhudī

zāhid ko gumān hai mai-kashī

har rañg hai tere aage phīkā

mahtāb hai phuul chāñdnī

chal jā.egā kaam kuchh kisī

muñh muḌ na gayā agar chhurī

har vaqt haiñ maut duā.eñ

allāh re lutf zindagī

ā.īna banā rahe ho dil ko

dil TuuT na jaa.e aarsī

ham kahte the juuḌe meñ nahīñ phuul

āḳhir niklā vo dil kisī

kahiye abhī ik adā pe kaT jaa.eñ

dam dekhte the faqat chhurī

miTtī nahīñ dushmanī kisī

rañg us meñ hai merī dostī

bose ko jagah milī laboñ par

ab rañg jamegā kyā misī

pyāre pyāre the phuul se hoñTh

dhabbā ye burā lagā misī

iThlā iThlā ke un ko chalnā

miT jaa.e balā se dil kisī

paate haiñ jo mujh ko se bezār

kahte haiñ maza hai āshiqī

hoñ ek se sab hasīn kyūñkar

hai rañg judā kalī kalī

pahle to the mahv-e-dīd muusā

ab lete maza haiñ be-ḳhudī

samjhe the na ham ko tum pe marnā

ho jā.egā rog zindagī

shoḳhī mazmūn le uḌī hai

aalam hai sher meñ parī

khīñcheñ jo vo tiir dil bhī de saath

haq kuchh to adā ho dostī

naale bulbul ke the ki chhuriyāñ

dil TukḌe huā kalī kalī

uThne na diyā kisī ke dar se

ehsān hai mujh pe lāġharī

phūloñ se kaho ki rotī hai os

ab is se maza nahīñ hañsī

kahte the na ham 'jalīl' tum se

anjām burā hai dil-lagī

mujh ko to maraz hai be-KHudi ka

zahid ko guman hai mai-kashi ka

har rang hai tere aage phika

mahtab hai phul chandni ka

chal jaega kaam kuchh kisi ka

munh muD na gaya agar chhuri ka

har waqt hain maut ki duaen

allah re lutf zindagi ka

aaina bana rahe ho dil ko

dil TuT na jae aarsi ka

hum kahte the juDe mein nahin phul

aaKHir nikla wo dil kisi ka

kahiye abhi ek ada pe kaT jaen

dam dekhte the faqat chhuri ka

miTti nahin dushmani kisi ki

rang us mein hai meri dosti ka

bose ko jagah mili labon par

ab rang jamega kya misi ka

pyare pyare the phul se honTh

dhabba ye bura laga misi ka

iThla iThla ke un ko chalna

miT jae bala se dil kisi ka

pate hain jo mujh ko ji se bezar

kahte hain maza hai aashiqi ka

hon ek se sab hasin kyunkar

hai rang juda kali kali ka

pahle to the mahw-e-did musa

ab lete maza hain be-KHudi ka

samjhe the na hum ko tum pe marna

ho jaega rog zindagi ka

shoKHi mazmun ki le uDi hai

aalam hai sher mein pari ka

khinchen jo wo tir dil bhi de sath

haq kuchh to ada ho dosti ka

nale bulbul ke the ki chhuriyan

dil TukDe hua kali kali ka

uThne na diya kisi ke dar se

ehsan hai mujh pe laghari ka

phulon se kaho ki roti hai os

ab is se maza nahin hansi ka

kahte the na hum 'jalil' tum se

anjam bura hai dil-lagi ka

Source :
  • Taaj-e-sukhan
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now