Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhko na dil pasand na wo bewafa pasand

Bekhud Dehlvi

mujhko na dil pasand na wo bewafa pasand

Bekhud Dehlvi

mujh ko na dil pasand na vo bevafā pasand

donoñ haiñ ḳhud-ġharaz mujhe donoñ haiñ nā-pasand

ye dil vahī to hai jo tumheñ ab hai nā-pasand

mā'shūq kar chuke haiñ jise bār-hā pasand

jins-e-vafā ko karte haiñ ahl-e-vafā pasand

dushman ko kyā tamīz hai dushman kyā pasand

jannat koī huur nazar par chaḌhī nahīñ

duniyā meñ mujh ko ek parī-zād thā pasand

roñdī kisī ne pā-e-hinā.ī se merī nā'sh

thī zindagī meñ mujh ko jo bū-e-hinā pasand

vo bad-nasīb hai jise aayā pasand

qismat to us hai jise ne kiyā pasand

chiḌte haiñ vo savāl se ye ham samajh ga.e

hai is liye unheñ dil be-mudda.ā pasand

sūrat bhī pesh-e-chashm hai sīrat bhī pesh-e-chashm

dam bhar meñ to pasand hai dam bhar meñ nā-pasand

tujh ko ġhurūr-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe

zāhid kise ḳhabar ki ḳhudā ko ho kyā pasand

choTeñ chaleñgī ḳhuub barābar joḌ hai

hai adā-shanās to maiñ huuñ adā-pasand

hir phir ke un aañkh 'adū se laḌe na kyuuñ

fitna ko kartī hai nigah-e-fitna-zā pasand

maiñ ḳhud sikhā rahā huuñ sitam adā unheñ

duniyā meñ kab huā koī mujh jafā-pasand

rakh deñge aa.ine ke barābar ham apnā dil

to ye nā-pasand huā un ko pasand

kis darja sāda-lauh haiñ āshiq-mizāj bhī

jo Dhab pe chaḌh gayā vo unheñ aa gayā pasand

merā kyā qusūr ye mujh par sitam hai kyuuñ

āñkhoñ ne dekhā aap ko dil ne kiyā pasand

inkār sun chuke haiñ talabgār kyuuñ baneñ

miltā nahīñ koī to hai be-fā.eda pasand

'beḳhud' to mar miTe jo kahā us ne naaz se

ik sher aa gayā hai hameñ aap pasand

mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand

donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand

ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand

ma'shuq kar chuke hain jise bar-ha pasand

jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand

dushman ko kya tamiz hai dushman ki kya pasand

jannat ki koi hur nazar par chaDhi nahin

duniya mein mujh ko ek pari-zad tha pasand

rondi kisi ne pa-e-hinai se meri na'sh

thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand

wo bad-nasib hai jise aaya pasand tu

qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand

chiDte hain wo sawal se ye hum samajh gae

hai is liye unhen dil be-muddaa pasand

surat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm

dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand

tujh ko ghurur-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe

zahid kise KHabar ki KHuda ko ho kya pasand

choTen chalengi KHub barabar ki joD hai

tu hai ada-shanas to main hun ada-pasand

hir phir ke un ki aankh 'adu se laDe na kyun

fitna ko karti hai nigah-e-fitna-za pasand

main KHud sikha raha hun sitam ki ada unhen

duniya mein kab hua koi mujh sa jafa-pasand

rakh denge aaine ke barabar hum apna dil

ya to ye na-pasand hua un ko ya pasand

kis darja sada-lauh hain aashiq-mizaj bhi

jo Dhab pe chaDh gaya wo unhen aa gaya pasand

mera hi kya qusur ye mujh par sitam hai kyun

aankhon ne dekha aap ko dil ne kiya pasand

inkar sun chuke hain talabgar kyun banen

milta nahin koi to hai be-faeda pasand

'beKHud' to mar miTe jo kaha us ne naz se

ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

mujhko na dil pasand na wo bewafa pasand Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now