kuchh Thikana hai na-tawani ka
kuchh Thikānā hai nā-tavānī kā
na uThā bojh zindagānī kā
marg jis ko jahāñ meñ kahte haiñ
naam hai merī zindagānī kā
misl-e-shabnam hamārī qismat meñ
ek daana hai vo bhī paanī kā
behr-e-nām-e-sikandar ā.īna
chashma hai āb-e-zindagānī kā
na uThā muflisī meñ dast-e-savāl
hai ye ehsān nā-tavānī kā
muntazir hashr meñ hai dāman-e-tar
mehr-e-mahshar kī mehrbānī kā
ziist kā e'tibār kyā hai 'amīr'
aadmī bulbula hai paanī kā
kuchh Thikana hai na-tawani ka
na uTha bojh zindagani ka
marg jis ko jahan mein kahte hain
nam hai meri zindagani ka
misl-e-shabnam hamari qismat mein
ek dana hai wo bhi pani ka
behr-e-nam-e-sikandar aaina
chashma hai aab-e-zindagani ka
na uTha muflisi mein dast-e-sawal
hai ye ehsan na-tawani ka
muntazir hashr mein hai daman-e-tar
mehr-e-mahshar ki mehrbani ka
zist ka e'tibar kya hai 'amir'
aadmi bulbula hai pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.