Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna

athar shakeel

abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna

athar shakeel

abhī tavaqqo.a banā.e rakhnā abhī umīdeñ jagā.e rahnā

bahut ghanā hai añdherā shab diloñ sham.eñ jalā.e rahnā

ḳhudā jaane ki aane vaalī rutoñ meñ kyā ho jahāñ hālat

abhī ye naġhme na band karnā abhī ye mahfil sajā.e rahnā

ye dekhnā hai ki dam hai kitnā ġhanīm lashkar ke bāzuoñ meñ

safoñ ko apnī sajā.e rakhnā suroñ ko apne uThā.e rahnā

yahāñ kahāñ bastiyoñ raunaq yahāñ to sannāTā chīḳhtā hai

ujaaḌ sahrā ye safar hai diloñ duniyā basā.e rahnā

abhī hai ḳhatra nafas nafas par abhī haiñ qātil galī galī meñ

'shakīl' āñkheñ na band karnā 'shakīl' ḳhud ko jagā.e rahnā

abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna

bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna

KHuda hi jaane ki aane wali ruton mein kya ho jahan ki haalat

abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna

ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon mein

safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uThae rahna

yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannaTa chiKHta hai

ujaD sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna

abhi hai KHatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali mein

'shakil' aankhen na band karna 'shakil' KHud ko jagae rahna

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now