ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
ye kāmyābiyāñ izzat ye naam tum se hai
ai merī maañ mirā saarā maqām tum se hai
tumhāre dam se haiñ mere lahū meñ khilte gulāb
mire vajūd kā saarā nizām tum se hai
galī galī meñ jo āvāra phir rahā hotā
jahān-bhar meñ vahī nek-nām tum se hai
kahāñ bisāt-e-jahāñ aur maiñ kamsin-o-nādāñ
ye merī jiit kā sab ehtimām tum se hai
jahāñ jahāñ hai mirī dushmanī sabab meñ huuñ
jahāñ jahāñ hai mirā ehtirām tum se hai
ai merī maañ mujhe har-pal rahe tumhārā ḳhayāl
tum hī se sub.h mirī merī shaam tum se hai
ye kāmyābiyāñ izzat ye naam tum se hai
ai merī maañ mirā saarā maqām tum se hai
ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
ai meri man mera sara maqam tum se hai
tumhaare dam se hain mere lahu mein khilte gulab
mere wajud ka sara nizam tum se hai
gali gali mein jo aawara phir raha hota
jahan-bhar mein wahi nek-nam tum se hai
kahan bisat-e-jahan aur main kamsin-o-nadan
ye meri jit ka sab ehtimam tum se hai
jahan jahan hai meri dushmani sabab mein hun
jahan jahan hai mera ehtiram tum se hai
ai meri man mujhe har-pal rahe tumhaara KHayal
tum hi se subh meri meri sham tum se hai
ye kaamyabiyan izzat ye nam tum se hai
ai meri man mera sara maqam tum se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.