mujhko bhi mere dil ko bhi behtar bana diya
mujh ko bhī mere dil ko bhī behtar banā diyā
āḳhir jahāñ ne mom ko patthar banā diyā
dekhīñ jo karke koshisheñ maiñ ne zarā zarā
qatre banā banā ke samundar banā diyā
har dil-lagī hai us ko hañsāne ke vāste
dil kī lagī ne mujh ko bhī joker banā diyā
maiñ chūḌiyāñ jo kāñch kī laayā ḳharīd kar
maañ ne pahan ke un ko bhī zevar banā diyā
mujh ko bhi mere dil ko bhi behtar bana diya
aaKHir jahan ne mom ko patthar bana diya
dekhin jo karke koshishen main ne zara zara
qatre bana bana ke samundar bana diya
har dil-lagi hai us ko hansane ke waste
dil ki lagi ne mujh ko bhi joker bana diya
main chuDiyan jo kanch ki laya KHarid kar
man ne pahan ke un ko bhi zewar bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.