Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

Bashir Badr

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

Bashir Badr

yūñhī be-sabab na phirā karo koī shaam ghar meñ rahā karo

vo ġhazal sachchī kitāb hai use chupke chupke paḌhā karo

koī haath bhī na milā.egā jo gale miloge tapāk se

ye na.e mizāj shahr hai zarā fāsle se milā karo

abhī raah meñ ka.ī moḌ haiñ koī aa.egā koī jā.egā

tumheñ jis ne dil se bhulā diyā use bhūlne duā karo

mujhe ishtihār lagtī haiñ ye mohabbatoñ kahāniyāñ

jo kahā nahīñ vo sunā karo jo sunā nahīñ vo kahā karo

kabhī husn-e-parda-nashīñ bhī ho zarā āshiqāna libās meñ

jo maiñ ban sañvar ke kahīñ chalūñ mire saath tum bhī chalā karo

nahīñ be-hijāb vo chāñd ki nazar koī asar na ho

use itnī garmī-e-shauq se baḌī der tak na takā karo

ye ḳhizāñ zard shaal meñ jo udaas peḌ ke paas hai

ye tumhāre ghar bahār hai use āñsuoñ se harā karo

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke paDha karo

koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se

ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo

abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega

tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan

jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo

kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein

jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo

nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho

use itni garmi-e-shauq se baDi der tak na taka karo

ye KHizan ki zard si shaal mein jo udas peD ke pas hai

ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Masood Tanha

Masood Tanha

Multiple

Multiple

Urdu Studio

Urdu Studio

Zafar Iqbal

Zafar Iqbal

RECITATIONS

Zafar Iqbal

Zafar Iqbal,

00:00/00:00
Zafar Iqbal

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo Zafar Iqbal

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now