Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana

Munawwar Rana

KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana

Munawwar Rana

ḳhafā honā zarā baat par talvār ho jaanā

magar phir ḳhud-ba-ḳhud vo aap gulnār ho jaanā

kisī din merī rusvā.ī ye kāran na ban jaa.e

tumhārā shahr se jaanā mirā bīmār ho jaanā

vo apnā jism saarā sauñp denā merī āñkhoñ ko

mirī paḌhne koshish aap aḳhbār ho jaanā

kabhī jab āñdhiyāñ chaltī haiñ ham ko yaad aatā hai

havā tez chalnā aap dīvār ho jaanā

bahut dushvār hai mere liye us tasavvur bhī

bahut āsān hai us ke liye dushvār ho jaanā

kisī yaad aatī hai to ye bhī yaad aatā hai

kahīñ chalne zid karnā mirā tayyār ho jaanā

kahānī ye hissa ab bhī koī ḳhvāb lagtā hai

tirā sar par biThā lenā mirā dastār ho jaanā

mohabbat ik na ik din ye hunar tum ko sikhā degī

baġhāvat par utarnā aur ḳhud-muḳhtār ho jaanā

nazar nīchī kiye us guzarnā paas se mere

zarā der ruknā phir sabā-raftār ho jaanā

KHafa hona zara si baat par talwar ho jaana

magar phir KHud-ba-KHud wo aap ka gulnar ho jaana

kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae

tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana

wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko

meri paDhne ki koshish aap ka aKHbar ho jaana

kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai

hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana

bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi

bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana

kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai

kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana

kahani ka ye hissa ab bhi koi KHwab lagta hai

tera sar par biTha lena mera dastar ho jaana

mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi

baghawat par utarna aur KHud-muKHtar ho jaana

nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere

zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana

Source :
  • Book : Azkar (Pg. 141)
  • Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
  • Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
  • Edition : issue:23 April,May,June-2013

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now