Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai

Bashir Badr

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai

Bashir Badr

kahīñ chāñd rāhoñ meñ kho gayā kahīñ chāñdnī bhī bhaTak ga.ī

maiñ charāġh vo bhī bujhā huā merī raat kaise chamak ga.ī

mirī dāstāñ uruuj thā tirī narm palkoñ chhāñv meñ

mire saath thā tujhe jāgnā tirī aañkh kaise jhapak ga.ī

bhalā ham mile bhī to kyā mile vahī dūriyāñ vahī fāsle

na kabhī hamāre qadam baḌhe na kabhī tumhārī jhijak ga.ī

tire haath se mere hoñT tak vahī intizār pyaas hai

mire naam jo sharāb thī kahīñ rāste meñ chhalak ga.ī

tujhe bhuul jaane koshisheñ kabhī kāmyāb na ho sakīñ

tirī yaad shāḳh-e-gulāb hai jo havā chalī to lachak ga.ī

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai

main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai

meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein

mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai

bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle

na kabhi hamare qadam baDhe na kabhi tumhaari jhijak gai

tere hath se mere honT tak wahi intizar ki pyas hai

mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai

tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin

teri yaad shaKH-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Talat Aziz

Talat Aziz

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Fahad Husain

Fahad Husain,

Nomaan Shauque

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai Nomaan Shauque

Fahad Husain

BASHIR BADR - KAHIN CHAND RAHON MEIN KHO GAYA Fahad Husain

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now