Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja

Ghulam Mohammad Qasir

mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja

Ghulam Mohammad Qasir

mohabbat gavāhī apne hone ḳhabar le

jidhar vo shaḳhs rahtā hai mujhe ai dil! udhar le

sajī hai bazm-e-shabnam to tabassum kaam aa.egā

ta.āruf phuul darpesh hai to chashm-e-tar le

añdhere meñ gayā vo raushnī meñ lauT aa.egā

diyā jo dil meñ jaltā hai usī ko baam par le

uḌānoñ āsmānoñ āshiyānoñ ke liye tā.ir!

ye par TuuTe hue mere ye meyār-e-nazar le

zamānoñ ko uḌāneñ barq ko raftār detā thā

magar mujh se kahā Thahre hue shām-o-sahar le

koī muñh pher letā hai to 'qāsir' ab shikāyat kyā

tujhe kis ne kahā thā aa.ine ko toḌ kar le

mohabbat ki gawahi apne hone ki KHabar le ja

jidhar wo shaKHs rahta hai mujhe ai dil! udhar le ja

saji hai bazm-e-shabnam to tabassum kaam aaega

taaruf phul ka darpesh hai to chashm-e-tar le ja

andhere mein gaya wo raushni mein lauT aaega

diya jo dil mein jalta hai usi ko baam par le ja

uDanon aasmanon aashiyanon ke liye tair!

ye par TuTe hue mere ye meyar-e-nazar le ja

zamanon ko uDanen barq ko raftar deta tha

magar mujh se kaha Thahre hue sham-o-sahar le ja

koi munh pher leta hai to 'qasir' ab shikayat kya

tujhe kis ne kaha tha aaine ko toD kar le ja

Source :
  • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 367)
  • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
  • Publication : Ahmad Nadeem Qasmi (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
  • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now