Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se

Mohsin Asrar

miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se

Mohsin Asrar

miTTī ho kar ishq kiyā hai ik dariyā ravānī se

dīvār-o-dar maañg rahā huuñ maiñ bhī bahte paanī se

be-ḳhabarī meñ hoñT diye lau ko chūmne vaale the

vo to achānak phuuT paḌī thī ḳhushbū raat raanī se

vo majbūrī maut hai jis meñ kaase ko buniyād mile

pyaas shiddat jab baḌhtī hai Dar lagtā hai paanī se

duniyā vāloñ ke mansūbe merī samajh meñ aa.e nahīñ

zinda rahnā siikh rahā huuñ ab ghar vīrānī se

jaise tere darvāze tak dastak dene pahuñche the

apne ghar bhī lauT ke aate ham itnī āsānī se

ham ko sab ma.alūm hai 'mohsin' haal pas-e-girdāb hai kyā

aañkh ne sachche gur sīkhe haiñ sūraj darbānī se

miTTi ho kar ishq kiya hai ek dariya ki rawani se

diwar-o-dar mang raha hun main bhi bahte pani se

be-KHabari mein honT diye ki lau ko chumne wale the

wo to achanak phuT paDi thi KHushbu raat ki rani se

wo majburi maut hai jis mein kase ko buniyaad mile

pyas ki shiddat jab baDhti hai Dar lagta hai pani se

duniya walon ke mansube meri samajh mein aae nahin

zinda rahna sikh raha hun ab ghar ki virani se

jaise tere darwaze tak dastak dene pahunche the

apne ghar bhi lauT ke aate hum itni aasani se

hum ko sab malum hai 'mohsin' haal pas-e-girdab hai kya

aankh ne sachche gur sikhe hain suraj ki darbani se

Source :
  • Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 81)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now