Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche

Kaleem Aajiz

meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche

Kaleem Aajiz

mirī sub.h-e-ġham balā se kabhī shaam tak na pahuñche

mujhe Dar ye hai burā.ī tire naam tak na pahuñche

mire paas kyā vo aate mirā dard kyā miTāte

mirā haal dekhne ko lab-e-bām tak na pahuñche

ho kisī mujh pe ehsāñ ye nahīñ pasand mujh ko

tirī sub.h tajallī mirī shaam tak na pahuñche

tirī be-ruḳhī pe zālim mirā ye chāhtā hai

ki vafā mere lab par kabhī naam tak na pahuñche

maiñ fuġhān-e-be-asar kabhī mo'tarif nahīñ huuñ

vo sadā kyā jo un ke dar-o-bām tak na pahuñche

vo sanam bigaḌ ke mujh se mirā kyā bigāḌ legā

kabhī raaz khol duuñ maiñ to salām tak na pahuñche

mujhe lazzat-e-asīrī sabaq paḌhā rahe haiñ

jo nikal ke āshiyāñ se kabhī daam tak na pahuñche

unheñ mehrbāñ samajh leñ mujhe kyā ġharaz paḌī hai

vo karam haath kyā jo avaam tak na pahuñche

hue faiz-e-mai-kada se sabhī faizyāb lekin

jo ġharīb tishna-lab the vahī jaam tak na pahuñche

jise maiñ ne jagmagāyā usī anjuman meñ saaqī

mirā zikr tak na aa.e mirā naam tak na pahuñche

tumheñ yaad na aa.uuñ ye hai aur baat varna

maiñ nahīñ huuñ duur itnā ki salām tak na pahuñche

meri subh-e-gham bala se kabhi sham tak na pahunche

mujhe Dar ye hai burai tere nam tak na pahunche

mere pas kya wo aate mera dard kya miTate

mera haal dekhne ko lab-e-baam tak na pahunche

ho kisi ka mujh pe ehsan ye nahin pasand mujh ko

teri subh ki tajalli meri sham tak na pahunche

teri be-ruKHi pe zalim mera ji ye chahta hai

ki wafa ka mere lab par kabhi nam tak na pahunche

main fughan-e-be-asar ka kabhi mo'tarif nahin hun

wo sada hi kya jo un ke dar-o-baam tak na pahunche

wo sanam bigaD ke mujh se mera kya bigaD lega

kabhi raaz khol dun main to salam tak na pahunche

mujhe lazzat-e-asiri ka sabaq paDha rahe hain

jo nikal ke aashiyan se kabhi dam tak na pahunche

unhen mehrban samajh len mujhe kya gharaz paDi hai

wo karam ka hath hi kya jo awam tak na pahunche

hue faiz-e-mai-kada se sabhi faizyab lekin

jo gharib tishna-lab the wahi jam tak na pahunche

jise main ne jagmagaya usi anjuman mein saqi

mera zikr tak na aae mera nam tak na pahunche

tumhein yaad hi na aaun ye hai aur baat warna

main nahin hun dur itna ki salam tak na pahunche

Source :
  • Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 154)
  • Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
  • Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
  • Edition : 1990
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now