meri jaanib rawana hai ajal aahista aahista
mirī jānib ravāna hai ajal āhista āhista
bahut mohtāt chup panjoñ ke bal āhista āhista
akelā thā magar ab halqa-e-ahbāb rakhtā huuñ
kiyā hai ek misre ko ġhazal āhista āhista
koī guzrā thā ik din sāmne se jald-bāzī meñ
guzāra maiñ ne barsoñ tak vo pal āhista āhista
kisī ke ashkoñ ne chhīnī mirī ḳhud se vafādārī
namak hotā gayā paanī meñ hal āhista āhista
ghuTan meñ us kī maddham saañs yuuñ gāloñ ko chhūtī thī
koī jhaltā ho jaise morchhal āhista āhista
kuchh itnā saath rahtī hai mujhe Dar hai kamī terī
na ban jaa.e tirā ne'mul-badal āhista āhista
badal aayā huuñ mustaqbil meñ tartīb-e-havādis ko
paḌegā ab zamānoñ meñ ḳhalal āhista āhista
tabhī 'ujlat meñ un ko tark karnā ġhair-mumkin thā
ta'alluq bante the pahle-pahal āhista āhista
utar aayā mirī āñkhoñ meñ āḳhir motiyā 'najmī'
khile jhīloñ kī sat.hoñ par kañval āhista āhista
meri jaanib rawana hai ajal aahista aahista
bahut mohtat chup panjon ke bal aahista aahista
akela tha magar ab halqa-e-ahbab rakhta hun
kiya hai ek misre ko ghazal aahista aahista
koi guzra tha ek din samne se jald-bazi mein
guzara main ne barson tak wo pal aahista aahista
kisi ke ashkon ne chhini meri KHud se wafadari
namak hota gaya pani mein hal aahista aahista
ghuTan mein us ki maddham sans yun galon ko chhuti thi
koi jhalta ho jaise morchhal aahista aahista
kuchh itna sath rahti hai mujhe Dar hai kami teri
na ban jae tera ne'mul-badal aahista aahista
badal aaya hun mustaqbil mein tartib-e-hawadis ko
paDega ab zamanon mein KHalal aahista aahista
tabhi 'ujlat mein un ko tark karna ghair-mumkin tha
ta'alluq bante the pahle-pahal aahista aahista
utar aaya meri aankhon mein aaKHir motiya 'najmi'
khile jhilon ki sathon par kanwal aahista aahista
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 24)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.