meri ghazal ki tarah uski bhi hukumat hai
mirī ġhazal kī tarah us kī bhī hukūmat hai
tamām mulk meñ vo sab se ḳhūb-sūrat hai
kabhī kabhī koī insān aisā lagtā hai
purāne shahr meñ jaise na.ī imārat hai
jamī hai der se kamre meñ ġhībatoñ kī nashist
fazā meñ gard hai māhaul meñ kudūrat hai
bahut dinoñ se mire saath thī magar kal shaam
mujhe pata chalā vo kitnī ḳhūb-sūrat hai
ye zā.irān-e-alī-gaḌh kā ḳhaas tohfa hai
mirī ġhazal kā tabarruk diloñ kī barakat hai
meri ghazal ki tarah us ki bhi hukumat hai
tamam mulk mein wo sab se KHub-surat hai
kabhi kabhi koi insan aisa lagta hai
purane shahr mein jaise nai imarat hai
jami hai der se kamre mein ghibaton ki nashist
faza mein gard hai mahaul mein kudurat hai
bahut dinon se mere sath thi magar kal sham
mujhe pata chala wo kitni KHub-surat hai
ye zairan-e-ali-gaDh ka KHas tohfa hai
meri ghazal ka tabarruk dilon ki barakat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.