Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon se zahir KHun-fishani ab bhi hoti hai

Akhtar Shirani

meri aankhon se zahir KHun-fishani ab bhi hoti hai

Akhtar Shirani

mirī āñkhoñ se zāhir ḳhūñ-fishānī ab bhī hotī hai

nigāhoñ se bayāñ dil kahānī ab bhī hotī hai

surūr-ārā sharāb-e-arġhavānī ab bhī hotī hai

mire qadmoñ meñ duniyā javānī ab bhī hotī hai

koī jhoñkā to laatī ai nasīm atrāf-e-kan.āñ tak

savād-e-misr meñ ambar-fishānī ab bhī hotī hai

vo shab ko mushk-bū pardoñ meñ chhup kar aa jaate haiñ

mire ḳhvāboñ par un mehrbānī ab bhī hotī hai

kahīñ se haath aa jaa.e to ham ko bhī koī de

sunā hai is jahāñ meñ shādmānī ab bhī hotī hai

hilāl o badr ke naqshe sabaq dete haiñ insāñ ko

ki nākāmī binā-e-kāmrānī ab bhī hotī hai

kahīñ aġhyār ke ḳhvāboñ meñ chhup chhup kar na jaate hoñ

vo pahlū meñ haiñ lekin bad-gumānī ab bhī hotī hai

samajhtā hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zāhid

mirī āñkhoñ rañgat arġhavānī ab bhī hotī hai

vo barsāteñ vo bāteñ vo mulāqāteñ kahāñ hamdam

vatan raat hone ko suhānī ab bhī hotī hai

ḳhafā haiñ phir bhī aa kar chheḌ jaate haiñ tasavvur meñ

hamāre haal par kuchh mehrbānī ab bhī hotī hai

zabāñ meñ na ho tāsīr to maiñ kyā karūñ nāseh

tirī bātoñ se paidā sargirānī ab bhī hotī hai

tumhāre gesuoñ chhāñv meñ ik raat guzrī thī

sitāroñ zabāñ par ye kahānī ab bhī hotī hai

pas-e-tauba bhī lete haiñ jām-e-ġhuncha-o-gul se

bahāroñ meñ junūñ mehmānī ab bhī hotī hai

koī ḳhush ho mirī māyūsiyāñ fariyād kartī haiñ

ilāhī kyā jahāñ meñ shādmānī ab bhī hotī hai

butoñ ko kar diyā thā jis ne majbūr-e-suḳhan 'aḳhtar'

laboñ par vo navā-e-āsmānī ab bhī hotī hai

meri aankhon se zahir KHun-fishani ab bhi hoti hai

nigahon se bayan dil ki kahani ab bhi hoti hai

surur-ara sharab-e-arghawani ab bhi hoti hai

mere qadmon mein duniya ki jawani ab bhi hoti hai

koi jhonka to lati ai nasim atraf-e-kanan tak

sawad-e-misr mein ambar-fishani ab bhi hoti hai

wo shab ko mushk-bu pardon mein chhup kar aa hi jate hain

mere KHwabon par un ki mehrbani ab bhi hoti hai

kahin se hath aa jae to hum ko bhi koi la de

suna hai is jahan mein shadmani ab bhi hoti hai

hilal o badr ke naqshe sabaq dete hain insan ko

ki nakaami bina-e-kaamrani ab bhi hoti hai

kahin aghyar ke KHwabon mein chhup chhup kar na jate hon

wo pahlu mein hain lekin bad-gumani ab bhi hoti hai

samajhta hai shikast-e-tauba ashk-e-tauba ko zahid

meri aankhon ki rangat arghawani ab bhi hoti hai

wo barsaten wo baaten wo mulaqaten kahan hamdam

watan ki raat hone ko suhani ab bhi hoti hai

KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein

hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai

zaban hi mein na ho tasir to main kya karun naseh

teri baaton se paida sargirani ab bhi hoti hai

tumhaare gesuon ki chhanw mein ek raat guzri thi

sitaron ki zaban par ye kahani ab bhi hoti hai

pas-e-tauba bhi pi lete hain jam-e-ghuncha-o-gul se

bahaaron mein junun ki mehmani ab bhi hoti hai

koi KHush ho meri mayusiyan fariyaad karti hain

ilahi kya jahan mein shadmani ab bhi hoti hai

buton ko kar diya tha jis ne majbur-e-suKHan 'aKHtar'

labon par wo nawa-e-asmani ab bhi hoti hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now