milan mausamon ki saza chahta hun
milan mausamoñ kī sazā chāhtā huuñ
tire hijr kī intihā chāhtā huuñ
sadāoñ se mahrūm apnī galī meñ
bas ik terī āvāz-e-pā chāhtā huuñ
kisī ek halchal meñ vo saath hotā
maiñ āvāra-e-shab bujhā chāhtā huuñ
gulāboñ ke hoñToñ pe lab rakh rahā huuñ
use der tak sochnā chāhtā huuñ
tirī qurbateñ raakh hone lagī haiñ
maiñ ab dūriyoñ meñ jiyā chāhtā huuñ
koī rahguzar ho kahīñ kā safar ho
maiñ har jā tire naqsh-e-pā chāhtā huuñ
bahut din hue mor nāche nahīñ haiñ
muñDeroñ pe kaalī ghaTā chāhtā huuñ
milan mausamon ki saza chahta hun
tere hijr ki intiha chahta hun
sadaon se mahrum apni gali mein
bas ek teri aawaz-e-pa chahta hun
kisi ek halchal mein wo sath hota
main aawara-e-shab bujha chahta hun
gulabon ke honTon pe lab rakh raha hun
use der tak sochna chahta hun
teri qurbaten rakh hone lagi hain
main ab duriyon mein jiya chahta hun
koi rahguzar ho kahin ka safar ho
main har ja tere naqsh-e-pa chahta hun
bahut din hue mor nache nahin hain
munDeron pe kali ghaTa chahta hun
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 252)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.