Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe

Akhtar Ziai

mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe

Akhtar Ziai

milā jo koī yahāñ ramz-āshnā na mujhe

vabāl-e-hosh rahā harf-e-mahramāna mujhe

udaas phirtī hai shādāb vādiyoñ mahak

hai kā.enāt yahī kunj-e-āshiyāna mujhe

adū sañg-zanī nahīñ mujhe parvā

tire karam mayassar hai shāmiyāna mujhe

koī ilāj-e-ġham-e-zindagī batā vaa.iz

sune hue jo fasāne haiñ phir sunā na mujhe

subuk-sarī meñ zamīn-e-vatan bhī tañg huī

kashāñ kashāñ liye phirtā hai āb-o-dāna mujhe

mire nasīb meñ hai kisht-e-jāñ vīrānī

na aa.ī raas rah-o-rasm-e-āshiqāna mujhe

bhaTak rahā huuñ usī talāsh meñ 'aḳhtar'

ki jis dayār ko chhoḌe huā zamāna mujhe

mila jo koi yahan ramz-ashna na mujhe

wabaal-e-hosh raha harf-e-mahramana mujhe

udas phirti hai shadab wadiyon ki mahak

hai kaenat yahi kunj-e-ashiyana mujhe

adu ki sang-zani ki nahin mujhe parwa

tere karam ka mayassar hai shamiyana mujhe

koi ilaj-e-gham-e-zindagi bata waiz

sune hue jo fasane hain phir suna na mujhe

subuk-sari mein zamin-e-watan bhi tang hui

kashan kashan liye phirta hai aab-o-dana mujhe

mere nasib mein hai kisht-e-jaan ki virani

na aai ras rah-o-rasm-e-ashiqana mujhe

bhaTak raha hun usi ki talash mein 'aKHtar'

ki jis dayar ko chhoDe hua zamana mujhe

Source :
  • Book : ajnabii musamo.n ki khushboo (Pg. 50)
  • Author : akhtar ziyaa.ii
  • Publication : zaahid bashiir printer lahore (1992)
  • Edition : 1992
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now