Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega

Ahmad Mushtaq

mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega

Ahmad Mushtaq

mil aate haiñ use aisā bhī kyā ho jā.egā

bas yahī dard kuchh dil sivā ho jā.egā

vo mire dil pareshānī se afsurda ho kyuuñ

dil kyā hai kal ko phir achchhā bhalā ho jā.egā

ghar se kuchh ḳhvāboñ se milne ke liye nikle the ham

kyā ḳhabar thī zindagī se sāmnā ho jā.egā

rone lagtā huuñ mohabbat meñ to kahtā hai koī

kyā tire ashkoñ se ye jañgal harā ho jā.egā

kaise aa saktī hai aisī dil-nashīñ duniyā ko maut

kaun kahtā hai ki ye sab kuchh fanā ho jā.egā

mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega

bas yahi na dard kuchh dil ka siwa ho jaega

wo mere dil ki pareshani se afsurda ho kyun

dil ka kya hai kal ko phir achchha bhala ho jaega

ghar se kuchh KHwabon se milne ke liye nikle the hum

kya KHabar thi zindagi se samna ho jaega

rone lagta hun mohabbat mein to kahta hai koi

kya tere ashkon se ye jangal hara ho jaega

kaise aa sakti hai aisi dil-nashin duniya ko maut

kaun kahta hai ki ye sab kuchh fana ho jaega

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaega Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now