Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

Bashir Badr

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

Bashir Badr

merī āñkhoñ meñ tire pyaar aañsū aa.e

koī ḳhushbū maiñ lagā.ūñ tirī ḳhushbū aa.e

vaqt-e-ruḳhsat kahīñ taare kahīñ jugnū aa.e

haar pahnāne mujhe phuul se baazū aa.e

maiñ ne din raat ḳhudā se ye duā māñgī thī

koī aahaT na ho dar par mire jab aa.e

in dinoñ aap aalam bhī ajab aalam hai

tiir khāyā huā jaise koī aahū aa.e

us bāteñ ki gul-o-lāla pe shabnam barse

sab ko apnāne us shoḳh ko jaadū aa.e

us ne chhū kar mujhe patthar se phir insān kiyā

muddatoñ ba.ad mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

koi KHushbu main lagaun teri KHushbu aae

waqt-e-ruKHsat kahin tare kahin jugnu aae

haar pahnane mujhe phul se bazu aae

main ne din raat KHuda se ye dua mangi thi

koi aahaT na ho dar par mere jab tu aae

in dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai

tir khaya hua jaise koi aahu aae

us ki baaten ki gul-o-lala pe shabnam barse

sab ko apnane ka us shoKH ko jadu aae

us ne chhu kar mujhe patthar se phir insan kiya

muddaton baad meri aankhon mein aansu aae

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

BASHIR BADR - MERI ANKHON MEIN TERE PYAR KA AANSU AAYE Fahad Husain

Source :
  • Book : Aahat (Pg. 20)
  • Author : Bashir Badar
  • Publication : M.R. Publications (2011)
  • Edition : 2011

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now